Shaam ke manzar mein wo aasmaan ka satrangi hona
Baarish bhare badalon ka achanak garajna aur barasna
Phir badalon mein chupke sooraj ka dheere se gayab hona
Yaad dilate hain mujhe ye saare pal un nayab lamhat ke
Bethke jab khoob karte the baatein
aur kho jaate the khayalon mein betuki lamhon ke
Wo talab ke kinaare chote chote darakhton ka ugna
Wo ghonsle mein chidiya ke bacchon ka fudakna
Wo meindak ka tar tar aur achanak chalaang lagana
Wo billiyon ka baarish ke talaab mein machli pakadna
Wo panchiyon ke surili kuhuk se madhur sangeet ka gunjna
Tumhara panipoori khaana aur hamesha beemar padna
Tumhe chidana aur fir gussa dilake pyaar se manaana
Yaad karo to ab bhi taaza hain jaise kal ki hi baat ho , hai naa!!
Tamso Maa Jyotir Gamaya
No comments:
Post a Comment